Hello doston pesh-e-khidmat hai sher o shayari ke chand nagme jinhe padhkar aap waah waah bole bina reh na sakenge.
Ye kuch naami girami shayaron ki shayari hai ummeed hai aapko pasand aayegi .
Hindi love shayari 1 by unknown shayar
वो आँखों आँखों में करते हैं इस तरह बातें
कि कानों-कान किसी को ख़बर नहीं होती।।
Wo ankhon-aankhon mein
karte hain is tarah batein
ki kanon-kaan kisi ko
ḳhabar nahin hoti.
Hindi love shayari 2 by Mohammad alvi
रोज़ अच्छे नहीं लगते आँसू
ख़ास मौक़ों पे मज़ा देते हैं।।
Roj acche nahi lagte hain aansu
khaas maukon per hi maza dete hain.
Hindi love shayari 3 Mohmmad alvi
अंधेरा है कैसे तिरा ख़त पढ़ूँ
लिफ़ाफ़े में कुछ रौशनी भेज दे।।
Andhera hai kaise tera khat padhun
lifafe mein kuch roshni hi bhej de .
Hindi love shayari 4 by Daag dehalavee
हमें है शौक़ कि बे-पर्दा तुम को देखेंगे
तुम्हें है शर्म तो आँखों पे हाथ धर लेना।।
Hame hai shauk ki
be-parda tum ko dekhein
Tumhe hai Sharm to
aankhon pe hath dhar lena.
Hindi love shayari 5 by Abdul majid 'hairat'
कोई ख़ुश हो कि ख़फ़ा हो 'हैरत'
हम तो हर बात खरी कहते हैं।।
Koi khush ho ki khafa ho hairat
Hum to har baat khari kehte hain.
Hindi love shayari 6 by Munir Niyazi
मुझ से बहुत क़रीब है तू फिर भी ऐ 'मुनीर'
पर्दा सा कोई मेरे तिरे दरमियाँ तो है।।
Mere bahut kareeb hai tu fir bhi aey 'munir'
Parda sa koi tere mere darmiyan to hai .
Hindi love shayari 7 by Munir niyazi
'मुनीर' अच्छा नहीं लगता ये तेरा
किसी के हिज्र में बीमार होना।।
'Munir' accha nahi lagta ye tera
Kisi ke hizr mein bimar hona .
Hindi love shayari 8 by Munir niyazi
एक वारिस हमेशा होता है
तख़्त ख़ाली रहा नहीं करता।।
Ek waris hamesha hota hai
Takht Khali raha nahi karte.
Hindi love shayari 9 by Munir niyazi
शहर का तब्दील होना शाद रहना और उदास
रौनक़ें जितनी यहाँ हैं सब औरतों के दम से हैं।।
Shehar ka tabdil hona
shaad rehna aur udas
raunkein jitni yahan hain
sab aurton ke dum se hain.
Hindi love shayari 10 by Munir niyazi.
आ गई याद शाम ढलते ही
बुझ गया दिल चराग़ जलते ही।।
Aa gayi yaad shaam dhalte hi
Bujh gaya dil charag jalte hi .
Hindi love shayari 11 by Munir niyazi
अपनी ही तेग़-ए-अदा से आप घायल हो गया
चाँद ने पानी में देखा और पागल हो गया।।
Apni hi teg-e-ada se
aap ghayal ho gaya
chaand ne paani me
dekha aur pagal ho gaya.
Hindi love shayari 12 by Munir Niyazi
अब कौन मुंतज़िर है हमारे लिए वहाँ
शाम आ गई है लौट के घर जाएँ हम तो क्या
Ab kaun muntzir hai
hamare liye wahan
shaam aa gayi hai ,
laut ke ghar jaayein hum to kya .
Hindi love shayari 13 by Munir Niyazi
ये कैसा नशा है मैं किस अजब ख़ुमार में हूँ
तू आ के जा भी चुका है मैं इंतिज़ार में हूँ।।
Ye kaisa nasha hai
main kis azab khumar mein huun
tu aa ke jaa bhi chuka hai
main intizar mein huun .
Hindi love shayari 14 Munir Niyazi
ख़्वाब होते हैं देखने के लिए
उन में जा कर मगर रहा न करो।।
Khwab hote hain dekhne ke liye
Un mein Jaa kar magar raha na karo .
Hindi love shayari 15 Munir niyazi
किसी को अपने अमल का हिसाब क्या देते
सवाल सारे ग़लत थे जवाब क्या देते।।
Kisi ko apne amal ka hisab kya dete
Sawal sare galat the jawab kya dete.
Hindi love shayari 16 by Azhar adib
दोनों हाथों से छुपा रक्खा है मुँह
आइने के वार से डरता हूँ मैं।।
Dono hathon se chhupa rakha hai muuh
aayine ke war se bahut darta huun mai.
Hindi love shayari 17 by Ambar Wasim Allahabadi.
तिरी निगाह बनी आइना मिरी ख़ातिर
मैं ख़ुद को देख के कल रात मुस्कुराने लगा।।
Teri nigah bani
aayina meri khatir,
main khud Ko dekh ke
kal raat muskurane laga.
Hindi love shayari 18 by Ambar Wasim Allahabadi.
आईना देख कर न तो शीशे को देख कर
हैरान ये दिल है आप के चेहरे को देख कर।।
Aayeena dekh kar
na to sheeshe ko dekh kar
hairan ye dil hai
aap ke chehre ko dekh kar.
Hindi love shayari 19 by Farhat ehsaas.
अंदर के हादसों पे किसी की नज़र नहीं
हम मर चुके हैं और हमें इस की ख़बर नहीं।।
Andar ke hadson pe
kisi ki nazar nahi
Hum mar chuke hain
hame is ki khabar nahi.
Hindi love shayari 20 by Farhat ehsaas
चाँद भी हैरान दरिया भी परेशानी में है
अक्स किस का है कि इतनी रौशनी पानी में है।।
Chaand bhi hairan ,
dariya bhi pareshani main hai
Aks ye kiska hai ,
ki itni roshni paani main hai .
Hindi love shayari 21 by Farhat ehsaas
एक बोसे के भी नसीब न हों
होंठ इतने भी अब ग़रीब न हों।।
Ek bose ke bhi naseeb na hon
Honth itne bhi ab gareeb na hon.
Hindi love shayari 22 by Farhat ehsaas
इक रात वो गया था जहाँ बात रोक के
अब तक रुका हुआ हूँ वहीं रात रोक के।।
Ek raat wo gaya tha jahan baat rok ke
ab tak ruka hua huun wahin raat rok ke.
Hindi love shayari 22 by Farhat ehsaas
इश्क़ में पीने का पानी बस आँख का पानी
खाने में बस पत्थर खाए जा सकते थे।।
Ishq mein pine ka pani
bus aankh ka paani,
khane mein bus
pathar khaye jaa sakte hain.
Hindi love shayari 23 by Farhat ehsaas
पूरी तरह से अब के तय्यार हो के निकले
हम चारागर से मिलने बीमार हो के निकले।।
Poori tarah se ab ke tayyar ho ke nikle
Hum charagar se milne bimar ho ke nikle.
Hindi love shayari 24 by Amir minai
गाहे गाहे की मुलाक़ात ही अच्छी है 'अमीर'
क़द्र खो देता है हर रोज़ का आना जाना।।
Gaahe gaahe ki mulaqat hi acchi hai 'amir'
Made kho deta hai har roj ka aana jaana.
Hindi love shayari 25 by Bashir Badr.
अजब चराग़ हूँ दिन रात जलता रहता हूँ
मैं थक गया हूँ हवा से कहो बुझाए मुझे।।
Azab charag huun
din raat jalta rehta huun
Main thak gaya huun,
hawa se kaho bujhaye mujhe.
Hindi love shayari 26 by Bashir badr
बड़े लोगों से मिलने में हमेशा फ़ासला रखना
जहाँ दरिया समुंदर से मिला दरिया नहीं रहता।।
Bade logon se milne mein
hamesha fasla rakhna
Jahan dariya samundar se mila
dariya nahi rehta.
Hindi love shayari 27 by Bashir badr
अजीब शख़्स है नाराज़ हो के हँसता है
मैं चाहता हूँ ख़फ़ा हो तो वो ख़फ़ा ही लगे।।
Azeeb shakhs hai
naraz ho ke hansta hai
main chahta huun
khafa ho to wo khafa hi lage.
Hindi love shayari 28 by Seemab Akbarabadi.
उम्र-ए-दराज़ माँग के लाई थी चार दिन
दो आरज़ू में कट गए दो इंतिज़ार में।।
Umr-e-daraz maang ke laayi thi char din
Do aarzoo mein kat gaye do intezaar mein.
Hindi love shayari 29 by Musharraph Ghulam hamdani.
आधी रात आए तिरे पास ये किस का है जिगर
चौंक मत इतना कि ऐ होश-रुबा हम ही हैं।।
Aadhi raat aaye tere paas
ye kis ka hai Jigar
Chaunk mat itna ki
aey hosh-ruba hum hi hain.
Hindi love shayari 30 by Bashir badr
इस शहर के बादल तिरी ज़ुल्फ़ों की तरह हैं
ये आग लगाते हैं बुझाने नहीं आते।।
Is shehar ke badal teri julfon ki tarah hain
Ye aag lagate hain bujhane nahi aate .
Hindi love shayari 31
अपनी बुलंदियों से गिरूँ भी तो किस तरह
फैली हुई फ़ज़ाओं में बिखरा हुआ हूँ मैं।।
Apni bulandiyon se
girun bhi to kis tarah
Faili hui fazaon mein
bikhra hua huun main.
Hindi love shayari 32 by Afzal minhas
वो दौर अब कहाँ कि तुम्हारी हो जुस्तुजू
इस दौर में तो हम को ख़ुद अपनी तलाश है।।
Wo daur ab kahan
ki tumhari ho justju
Is daur mein to hum
ko khud apni talash hai.
Hindi love shayari 33 by Amir minai
किसी रईस की महफ़िल का ज़िक्र ही क्या है
ख़ुदा के घर भी न जाएँगे बिन बुलाए हुए।।
Kisi raees ki mehfil
ka zikr hi kya hai
Khuda ke ghar bhi
na jayenge bin bulaye huye.
Hindi love shayari 34 by Amir minai
हँस के फ़रमाते हैं वो देख के हालत मेरी
क्यूँ तुम आसान समझते थे मोहब्बत मेरी।।
Hans ke farmate hain
wo dekh ke haalat meri
Kyun tum aasan samajhte the
mohabbat meri.
Hindi love shayari 35 by Amir minai
हुए नामवर बे-निशाँ कैसे कैसे
ज़मीं खा गई आसमाँ कैसे कैसे।।
Huye naamwar be-nishan kaise kaise
zamin khaa gayi aasman kaise kaise.
Hindi love shayari 36 by Amir minai
ख़ंजर चले किसी पे तड़पते हैं हम 'अमीर'
सारे जहाँ का दर्द हमारे जिगर में है।।
Khanjar chale kisi pe
tadapte hain hum 'amir'
sare Jahan ka dard
hamare jigar mein hai.
Hindi motivational shayari 37 by Amir minai.
तीर खाने की हवस है तो जिगर पैदा कर
सरफ़रोशी की तमन्ना है तो सर पैदा कर।।
Tir khane ki hawas hai to jigar paida kar
Sarfaroshi ki tamanna hai to sar paida kar.
Hindi love shayari 38 by Amir minai
आफ़त तो है वो नाज़ भी अंदाज़ भी लेकिन
मरता हूँ मैं जिस पर वो अदा और ही कुछ है।।
Aafat to hai wo naaz
bhi andaaz bhi lekin
Marta huun main jis per
wo ada aur hi kuch hai.
Hindi love shayari 39 by Amir minai
वस्ल का दिन और इतना मुख़्तसर
दिन गिने जाते थे इस दिन के लिए।।
Wasl ka din aur itna mukhtsar
din gine jate the is din ke liye.
Hindi love shayari 40 by Daag dehalavee
इस नहीं का कोई इलाज नहीं
रोज़ कहते हैं आप आज नहीं।।
Is nahin ka koi ilaaz nahi
Roj kehte hain aap, aaj nahi.
Hindi love shayari 41 Daag dehalavee
आइना देख के कहते हैं सँवरने वाले
आज बे-मौत मरेंगे मिरे मरने वाले।।
Aayina dekh ke kehte hain sanwarne wale
Aaj to be-maut marenge mere marne wale.
Hindi love shayari 42 by Daag dehalavee
ग़ज़ब किया तिरे वादे पे ए'तिबार किया
तमाम रात क़यामत का इंतिज़ार किया।।
Gazab kiya tere waade per aitbaar kiya
tamam raat kayamat ka intzaar kiya .
Hindi love shayari 43 by Daag dehalavee
लुत्फ़-ए-मय तुझ से क्या कहूँ ज़ाहिद
हाए कम-बख़्त तू ने पी ही नहीं।।
Lutf-e-may tujh se kya kahin jaahid
haay kam-bakht tu ne pi hi nahi.
Hindi love shayari 44 by Daag dehalavee
सब लोग जिधर वो हैं उधर देख रहे हैं
हम देखने वालों की नज़र देख रहे हैं।।
Sab log jidhar wo hain
udhar dekh rahe hain
hum dekhne waalon ki
nazar dekh rahe hain.
Hindi love shayari 45 Daag dehalavee
जिस में लाखों बरस की हूरें हों
ऐसी जन्नत को क्या करे कोई।।
Jis me lakhon baras ki hurein ho
Aisi jannat ka akhir kya kare koi.
Hindi love shayari 46 Daag dehalavee
कहने देती नहीं कुछ मुँह से मोहब्बत मेरी
लब पे रह जाती है आ आ के शिकायत मेरी।।
Kehne deti nahi kuch
muuh se mohabbat meri
lab pe reh jati hai
aa aa ke mohabbat meri .
Hindi love shayari 47 Daag dehalavee
तुम को चाहा तो ख़ता क्या है बता दो मुझ को
दूसरा कोई तो अपना सा दिखा दो मुझ को।।
Tum ko chaha to khata
kya hai bata do mujhko
dusra koi to apna sa
dikha do mujh ko.
Hindi love shayari 48 by Daag dehalavee
ना-उमीदी बढ़ गई है इस क़दर
आरज़ू की आरज़ू होने लगी।।
Na-ummeedi badh gayi hai is kadar
Aarzoo ki bhi aarzoo hone lagi hai.
Hindi love shayari 49 by Momin Khan Momin.
वो जो हम में तुम में क़रार था तुम्हें याद हो कि न याद हो
वही यानी वादा निबाह का, तुम्हें याद हो कि न याद हो।।
Wo jo hum mein tum mein
karar tha tumhe yaad hi ki na ho
Wahi yani wada nibah ka
tumhe yaad hi ki na yaad ho.
Tum hamare kisi tarah na huye
Warna duniya me kya nahi hota.
Thanks 🙏
Image credits- Free images from Unsplash.Com
Post a Comment